Allah Ne Banaaya
Allah Ne Banaya
(Voor kinderen)
Allah ne banaya
Allah ne banaya
Yehh roshni ka gola, yehh aatashi’n hemala
Yehh markaze hararat suraj hai naam jis ka
Khud se na ban ke aya
Allah ne banaya
Yeh aasma’n ki chhatri, yehh nil gu’n fazayeh’n
Urhte huwe parinde, behti huwi hawayeh’n
Kis ne inhe chalaya
Allah ne banaya
Yehh phool pyare pyare, wo jhilmilate taare
Yehh aqruba hamare ahbaab dost saare
Ma’n baap, bhayi jaya
Allah ne banaya
Dono’n jaha’n ki ne’mat, yehh gulseta’n woh jannat
In’aam aur aziyat, iman aur hedayat
Kuch khud na ban ke aaya
Allah ne banaya
Kis ne banayi bulbul, aur bosta’n sajayeh
Kis ne ubhari dhup or kis ne nikale sayeh
Koyi na aur laya
Allah ne banaya
Haewaan, perr, powde, taalaab, naddi, naale
Taaqat, takaan, farhat, taarikiya’n, ujale
Isaar, mooh maya
Allah ne banaya
Deen me karo mashaqat aur shab me pa-o raahat
Jari rahe ‘ibadat yehh sab nizam-e-fitrat
Kis ki taraf se aya
Allah ne banaya
Iman hi pe jina, iman hi pe marna
Mushkil bhi aa-pare to, niyat buri na karna
Tujh par nabi ka saya
Allah ne banaya
Ni’mat pe shukr karna, baghi na Rab ke ban-na
Qura’n yehh hukm laya
Allah ne banaya
Bachcho’n bari hai daulat pyare nabi ki ulfat
Li jis ne un ki sirat pa jaega wo jannat
Naam un ka Rab ko bhaya
Allah ne banaya
Bushra ko parsa kar Uzma ko haq resa kar
In meri dono’n aankho’n ko noore di’n ‘ata kar
Yehh ‘arz Badr laya
Manzur kar Khudaya